Namaj Fasid Karne wali Cheejo ka Bayan
kalam, mufassire namaj hai yani namaj me bolne se namaj toot jati hai chahe jan boojh kar bole ya bhoole se aik aad- baat bole ya jiyada. kalam wahi mufassir hai jis me itni aavaj ho ke kam se kam khud sun sake agar koi mana na ho, kisi ko bhoole se bhi salam kiya to namaj jati rahi chahe khali assalamu hi kaha ho alaikum na kaha paya ho, juban se salam ka jawab diya to namaj jati rahi aur hath ya sar ke ishare se diya to makrooh huyi.
Namaj me alhamdu lillah kaha ya buri khabar par kuchh padha ho ya tajjub ki khabar par subhan allah kaha to namaj jati rahi ha agar khabar ke jawab ka irada na kiya to na gayi, agar ajar se ho jaise tabee-at majboor kiya saheeh garaj ke liye ho jaise kirat me aavaj saaf karne ke liye ya imam ko galati par itla dene ke liye ya dusre ko apne namaj me hone ki itlia dene ke liye ho to usse namaj nahi tutati.
Muktadi ne apne imam ke siva kisi aur ko lukma diya namaj jati rahi, imam ne apne muktadi ke siva kisi aur ka lukma liya namaj fasid ho gayi, aah-aah, uf-tuf ye alfaj dard ya musibat ki vajah se nikale ya aavaj se roya aur haraf paida huye, in sab surato me namaj toot gayi aur agar rone me sirf aansu nikale aavaj aur haraf nhi nikale to haraz nhi.
Mareej ki juban se be ikhtiyar aah, ooh nikali to namaj fasid na huyi yu hi chheenk, khasi, zamahi, dakar me jitne haraf mazburan be ikhtiyar nikakte hai wo muaf hai, fukne mai agar aavaj na ho to wo misale sans ke hai mufassir nhi kasdan makrooh hai aur agar phookne me wo haraf paida ho jese uf, tuf to muffasire namaj hai,
namaj me quran, quran shareef se ya mehrab wagaira se dekh kar padhne se namaj toot jati hai, ha agar padhta to hai yaad se aur najar padhti hai likhe huye par to haraz nhi, amle kaseer ke name aamal se hona namaj ki islah ke liye kiya gaya ho, mufassire namaj hai aml kaleel muffasir nhi.
Amle Kaseer Rur Kaleer ki taree aur Masail
Jis kam ke karne wale ko door se dekh kar uske namaj me na hone ka shak na rahe balke guman galib ho ke namaj me nhi to wo amale kaseer hai aur agar door se dekhne wale ko shubao shak ho ke namaj me hai ya nhi to ye amle kaleel hai.
Kurta ya pajama pahna ya tahband banda to namaj jati rahi namaj ke andar khana peena mulakan namaj ko fasid kar deta hai jan kar ho ya bhool kar ho thoda ho ya jiyada yaha tak ke agar til bala chabaye nigal liya, ya koi bund muh me giri aur nigal liya namaj jati rahi, maut zunoon, be hoshi se namaj jati rahti hai, agar wakt me aaram ho jaye to ada padhe aur agar wakt ke baad aaram ho to kaza padhe jab ke zunoono behoshi aik din se jiyada na ho yani namaj ke 6 wakt kamil tak barabar na raha ho ke agar 6 wakt kamil tak barabar hai, kaza vajib nh.
kasdan vudu toda ya koi sabab gusul ka paya gaya namaj jati rahi, kisi rukn ko tark kiya jab ke usko usi namaj me ada na kar liya ho namaj jati rahi, bula ujr namaj ki kisi shart ko tark kiya to namaj toot gayi. kayeda aakhirah ke baad sajde namaj ya sajde tilawat yad aaya aur kis ko ada kiya aur ada karne ke baad fir kayeda na kiya to namaj na huyi, kisi rukn ko sote me ada kiya tha uska iaada na kiya namaj na huyi.
Namaj me Sanp Bichchu Marne ki Surat
Sanp, bichchu marne se namaj nhi tutati jab ke na teen kadam chalna padhe na teen jarb ki jarurat ho agar marne me teen kadam ya jiyada chalna padha ya teen jarb ya jiyada lagani padhi to namaj toot gayi. namaj me sanp bichhu marne ki izajat hai agarche namaj toot jaye, sanp bichhu ko namaj me marna us wakt mubah hai, jab samne gujare aur takleef dene ka dar ho aur agar kapne ka dar na ho to makrooh hai.
aik rukn me 3 baar khujane se namaj toot jati hai yani yu ke khuja kar hath hata liya fir khujaya fir hath hata liya fir khujaya fir hata liya agar aik bar hath rakh kar kai martaba khujaya to aik hi martaba khujana kaha jayega aur isse namaj na jayegi. takbeeraat intekal me allah ke alif ko ya akbar ke alif ko kheecha aur aallah ya aakbar kaha ya akbar ki ba ke bad alif padha diya ke akbaar ho gaya to un sab soorato me namaj toot gayi aur agar takbeere tehreem me esa kiya to namaj shuru hi na huyi.
kirat ya ajkare namaj me esi galati jis se mayna fasid ho jaye namaj tod deti hai, namaj ke aage se chahe aadami gujare ya janwar namaj nhi tutati albatta gujarne wala bahut gunhagar hota hai agar namaji ke samne se jane wala janta ke usme kiya gunha hai? to 100 baras khade rahne balke jameen me dhas jane ko achha samajhta aur namaji ke aage se gujarta agar maidan me namaji ke samne se teen gaj chhod kar aage se gujre to haraz nhi.
Sutrah ke Mayene
esi koi cheej jis se aad ho jaye, sutrah aik uncha aur aik engle mota ho kafi hai aur jiyada se jiyada teen hath uncha ho. sutrah dahini bho ke samne gadna afjal hai.
Sutrah kin Cheejo ka ho Sakta hai
Darakht, janwar, aadami wagaira ka bhi sutrah ho sakta hai imam ka sutrah muktadi ke liye bhi sutrah hai. muktadiyo ke liye aleda ki jarurat nhi lihaja agar masjid me bhi muktadi ke aage se gujar jaye jab ke imam ke aage se na ho to haraz nhi. namaji apne aage se gujarne wale ko agar rokna chahe to subhan allah kahe ya jor se kirat karne lage ya hath se ishara kar de lekin bar bar esa na kare ke amal kaseer hone ki surat me namaj jati rahegi.
Post Comment