Ahkame Masjid ka Bayan

allah paak ke najdeek sab se achhi jagah masjid hai aur sab se buri jagah bajar hai. jab masjid me jaye to durood shareef padhe aur jab andar jaye to andar jane ki dua padhe or jab bahar aaye to bahar aane ki dua padhe. aur yaad rakhe ki kible ki taraf pao felana makrooh hai sote me ho ya jagte me yuhi chhote bachho ka pau kible ki taraf karke lita dena makrooh hai. or iski burai litane wale par hai.

Masjid ki Chhat ke Aadab

masjid ki chhat par bhi gandagi karani haram hai, masjid ki chhat ka bhi masjid ki tarah adab hai. Masjid ki chhat par bila jarurat chadna makrooh hai. aapko bata de ki masjid ko tasta bananan yani ki usme se hokar gujarna na jaij hai agar iski adat kare to fasik hai agar koi is niyat se masjid me gaya aur beech me pahucha tha ke pachhtaya to jis darvaje se usko nikalna hai uske siva dusre darwaje se nikale ya vahi namaj padhe.

fir nikale aur vudu na ho to jis tarah se aaya hai wapis jaye or masjid ke andar kisi bartan me peshab karna fasad ka khoon lena bhi jaij nhi. bachhe ko or pagal ko jin se gandagi ka guman ho masjid me le jana haram hai aur najasat ka dar na ho to makrooh hai.

Masjid ya Bistar par kuchh aayat Wagaira likhane ke Ahkam

masjid ki deewaro aur mehrabo par quran likhna achha nhi is liye ke dar hai ke waha se gire aur pao ke neeche padhe aur isi be adabi ki vajah se takiye, farsh, bistar, dastarkhan, janamaj par bhi aayat ya hadees ya shayri wagaira likhna mana hai. masjid me vudu karna ya masjid ki deewaro par ya chatai par ya chatai ke neeche nak, thook mail wagaira dalna mana hai.

agar naak sinkane ya thukne ki jarurat hi padh jaye to kapde me le le, masjid me najasat le kar jana mana hai agarche wo najasat masjid me na lage, isi tarah jis ke badan par najasat lagi ho us ko bhi masjid me jana jaij nhi.

Masjid me Napak Gara Lagana mana hai

napak tail masjid me jalana ya najis gara masjid me lagana mana hai. masjid me koi jagah vudu ke liye shuru se masjid banwane wale ne kabal tamam masjiyat banai hai jis me namaj hoti to wo vaha vudu kar sakta hai. yu hi tasht wagaira kisi bartan me vudu kar sakta hai.

basharte puri ahtiyat se ho ke koi chheent masjid me na padhe, vudu ke baad na aur hath se pani punchh kar masjid me jhhadte hai ye na jaij hai. or masjid ka kuda jhhad kar esi jagah na dhale jaha se be adabi ho or masjid me pedh lagane ki ijazat nhi, haa masjid ko us ki hajat hai ke jameen me tari hai sutoon kayam nhi rahte to us tari ke zajab karne ke liye paid laga sakte hai.

Masjid me Hujra kab aur kis Liye banwaya Ja sakta hai

kable tamam masjiyat, masjid ke asbab rakhne ke liye masjid me huzrah banwaya ja sakta hai. masjid me suwal karna haram hai aur sail ko dena bhi mana hai. or iske hi aapko ye bhi bata de ki kacha lahsan, pyaz kha kar masjid me jana jaij nhi jab tak ke boo baki ho, yahi huqm har us cheej ka hai.

jis me badbu hai usse masjid ko bachaya jaye aur uske bagair door kiye huye masjid me na jaya jaye, hatta ke jo mareej koi badboo dar dawa misle ghandhak wagaira ke lagaye ho to wo masjid me na jaye balke kodi ya kisi aur gande maraj wale us badjaban ko bhi jo logo ko juban se eeja deta hai masjid se roka jayega.

mubah bate bhi karne ki masjid me izajat nhi na aavaj buland karna jaij hai. masjid ki safai ke liye chammgadar aur kabutaro ke ghoslae nochane me haraz nhi, muhalle ki masjid me namaj padhna agarche jamat thodi ho jama masjid afjal hai balke agar muhalle ki masjid me jamat na huyi ho to tanha jaye aur ajan wa ikamat kahe namaj padhe, ye jama masjid ki jamat se afjal hai.

Vitr ki Namaj

vitr ki namaj vajib hai agar kisi vajah se wakt me vitr nhi padha to to kaza vajib hai vitr ki namaj teen rakate hai aik salam se misale magrib ke usme pehla kayeda vajib hai yani do rakat par bethe aur sirf attahiyat padh kar teesari rakat ke liye khada ho jaye aur teesari rakat me bhi alhamdu lillah aur rasul surah padhe aur us teesari rakat me surah padhne ke baad dono hath utha kar kano ki lo tak le jaye,

aur allahu akbar kahe kar fir hath bandh le aur duaye kunoot padhe jab duaye kunoot padh chuke to allahu akbar kah kar ruku kare aur baki namaj puri kare, duaye kunoot padhna vajib hai aur isme kisi khas dua ka padhna vajib nahi, albatta bahtar duaye hai jo hadeeso me aayi, sab se jiyada mashhoor dua e kunoot hai.

Post Comment