Ada, Kaza Aur Vajibul Iyada Ki Tareefat

dosto aapko bata de ki jis cheej ka bando ko huqm hai use wakt me baja lane ko ada kahte hai aur wakt khatm hone ke baad amal me lana kaz hai aur us wakt ke khatam hone ke baad amal me lana kaha hai aur agar us huqm ke baja lane me koi kharabee paida ho jaye to us kharabi ko door karne ke liye wo amal dobara baja lana iada kahlata hai,
wakt ke andar andar agar tehreema bandh li to namaz kaza na huyi balki ada hai magar namaze farz, jumua aur eidain me wakt ke andar salam firna lajimi hai warna namaz na hogi aur aapko pata hona chahiye ki namaz kaza kar dena sakht gunah hai, is par farz hai ki uski kaza padhe aur sachhe dil se tauba bhi kare,
Tauba ya hajje Makbool se insha allah takheer ka gunah muaf ho jayega, tauba usi wakt saheeh hai jab ki kaza padh le usko ada kiye bigair tauba kiye jana tauba nhi ki jo namaz uske jimme thi usko na padhna to ab bhi baki hai aur jab gunah se baaj aaya to tauba kaha huyi,
hazrate sayyiduna Ibne Abbas se rivayat hai ki, Tajdare Madeena ne irshad Farmaya, “Gunah par kayam rah kar tauba karne wala apne rab se taththa yani ki majak karta hai.”
Tauba ke 3 Rukn jhai
aapko bata de ki SadruL Afajil Hazrate Allama Sayyiduna Muhammad Naimuddeen irshad farmate hai ki, “tauba ke 3 rukn hai,
- Etirafe Jurm.
- Nadamat.
- Ajme tark yani ki is gunah ko chhodne ka pukhta ahad karna agar gunah kabile talafee hai to uski talafee bhi lajim hai maslan ki tarike salat yani ki namaz tark kar dene wale ki tauba ke liye namazo ki kaza bhi lazim hai.
Jald se jald kaza namaze ada kar lijiye
jis ke jimme kaza namaze ho unka jald se jald padhna vajib hai magar baal bachho ki parwarish aur apni jaruriyat ki farahami ke sabab takheer jaij hai lihaja fursat ka jo wakt mile usme kaja padhta rahe yah tak ki puri ho jaye.
Chhup kar kaza Padhiye
dosto aapko bata de ki kaza namaze chhup kar padhiye logo par ya ghar walo ko balki kareebi dosto ko bhi iska ijhar na kijiye maslan yeh mat kaha kijjiye ki meri aaj farz kaza ho gayi ya mai kajaye umri kar raha hoon wagaira ki gunah ka ijhar bhi makrooh e tehreemi aur gunah hai,
lihaja agar logo ki mojoodagi me vitra kaza kare to takbeere kuboot ke liye hath na uthaye. is tarike se aapko apni kaza namazo ko pdhana chahiye.
Umar bhar ki kaza ka Hisab
jisne kabhi namaje hi na padhi ho aur ab taufeek huyi aur kazaye umri padhna chahta hai, woh jab se baliq hua ya baliga huyi hai us wakt se namajo ka hisab lagaye agar yeh bhi yaad nhi hai ki kab balig ya baliga huye hai to ehtiyat isi me hai ki hizjari sin ke hisab se ladki 9 baras aur ladka 12 baras ki umar se hisab lagaye.
Post Comment