Gusul ke bare me tafseel hindi me

dosto aaj ke is post me ham gusul ke bare me tafseel se janenge ki log baar kaha kaha galati karte hai or uski saza kya hoti hai or hadeeso me iske iske liye kya kya aaya hai to chaliye start karte hai gusul ke mutabki hamare pyare nabi husoor Nabi e Rahmat irshad farmate hai ki, ” jo shakhs gusle zanabat me ek baal ki jagah be dhoye chhod dega to uske sath aag se esa esa kiya jayega” yani ki ajab diya jayega, ab aap is hadeese andaza laga sakte ho ki gusul kitna aham hai to chaliye ham start karte hai.

Kabar or Gusul

hazrate sayyiduna aban bin abullah bajli farmate hai ki, hamara ek padosi mar gaya to ham sab kafan va dafan me shareeq huye jab kabar khodi gaye to usme ek bille ki misl yani ki usske jesa ek janwar tha, hamne usko mara magar voh nahi hata, chunache dusri kabar khodi gayi to ab,

to usme bhi wahi nikla ab uske sath bhi wahi kiya gaya jo pehle wale ke sath kiya gaya tha lekin wo bhi apni jagah se na hila, ab iske baad dubara teesri kabar khodi gayi to usme bhi yehi muamla hua or fir aakhir me logo ne aapas me mashwarah kiya ki ab isko isi kabar me dafan kar do or jab usko dafan kar diya gaya to kabar me se aik khaufnak aavaj suni gayi,

to ab ham sab us shakhs ki beva ke paas gaye or usse marne wale ke baare daryaft kiya ki us ka esa kya amal kiya tha to us beva ne bataya ki, ” voh gusle zanabat yani ki farz gusl nhi karta tha.” to dekha dosto aapne ye kis kadar shadeed ajab me giraftar ho gaya ab to aapko or mujhe bhi isse seekh leni chahiye.

Gusle Zanabat kya hai or isme kab takheer haram ho jati hai

dosto aapko bata de ki zab miya bivi aapas me jismani relation kayam karte hai yani ki zima karte hai tab jo gusl kiya jata hai use hi Gusle Zanabat kaha jata hai. or aapne dekha ki voh bad naseeb gusle zanabat karta hi nhi tha, gusle zanabat me der kar dena gunah nhi hai albatta itni takheer haram hai ki namaz ka wakt nikal jaye,

aapko bata de ki bahare shariyat me hai jis par gusl vajib hai or voh agar itni der kar chuka ki namaz ka aakhir wakt aa gaya to ab fauran nahana farz ho jata hai or agar ab bhi takheer karega to haram hi hoga.

Zanabat ki Halat me Sone ke Ahkam

aapko bata de ki zanabat ki halat me so sakte hai lekin uska ek tarika hota hai to chaliye jante hai aapko bata de ki hazrate sayyiduna abu salmah kahte hai ummul muamineen hazrate sayyituna Ayesha Siddeeqa se puchha kya nabiye rahmat huzoor zanabat ki halat . me sote the, to unhone bataya, haa vudu farma lete the,

hazrate sayyiduna abdullah bin umar farooke aajam ne rasule aajam se tajkira kiya , raat me kabhi zanabat ho jati hai to kya kiya jaye to Rasule paak ne irshad farmaya ki, ” vudu kar ujve khas ko dho kar so jaya karo” aapko ye bhi bata de ki sharehe bukhari hazrate allama Mufti Muhammad Shareeful haq Amzadi majkura ahadeese mubarak ke tahat farmate hai, junube hone yani ki gusul farz hone ke baad agar sona chahe to mustahab hai,

ki vudu kare or foran gusul karna vajib nhi hai or albatta itni takheer na kare ki namaz ka wakt nikal jaye or yahi is hadees ka mahmal hai or aapko ye bhi bata de ki hazrate Ali ne abu Dawood va sanai vagaira me marvi hai ki farmaya, ” us ghar me firishte nhi jate jis me atsveer ya kutta ya zunubee yani be gusla ho or is hadees se murad yehi hai,

ki itni der tak gusul na kare ki namaz ka wakt hi nikal jaye or voh zunubi rahne ka aadi ho or yehi matlab bujurgo ke irshad ka hai ki halate Zanabat me khane peene se rijk me tangi hoti hai.

dosto agar is post me aapko koi bhi galati lage to mujhe email ke jariye se jarur bataiyega.

Post Comment