Haij Aur Nifas ka Bayan

aik baar kisi bhikari ne kuffar se suwal kiya, unhone majakan hazrate maula Ali ke paas bhej diya jo ki samne tashreef farma the usne hazir hokar daste suwal daraj kiya, aap ne 10 baar durood shareef padh kar uski hatheli par dam kar diya aur farmaya, muththi band kar lo aur jin logo ne bheja hai unke samne jakar khod do, magar jab sail ne unke samne ja kar muththi kholi to voh sone ke deenaro se bhari huyi thi, yeh karamat dekh kar kai kafir musalman ho gaye.

allah paak quran e mazeed me irshad farmata hai jiska mayena ye hai ki,

” aur tum se poochte hai haiz ka hukm tum farmao voh napaki hai to aurato se alag rahi haij ke dino aur unke najdeek na karo jab tak paak na ho le fir jab paak ho jaye to unke paas jao jaha se tumhe allah paak ne hukm diya”

Sadrul Afajil hazrate Allama Maulana Sayyid Muhammad Naimuddeen Muradabadi is aayat ke tahat tafseere khajainul irfan me likhte hai, arab ke log yahood va majoos ki tarah haija aurato se kamale nafrat karte the, sath khana peena ek makan me rahana gawara na tha balki shiddadt yaha tak pahunch gayi thi ki unki taraf dekhna aur unse kalam karna bhi haram samajhte the.

aur nasara badi muhabbat se mashgool hote the aur ikhtilaf me bahut muba laga karte the musalmano ne huzoor nabi e rehmat se haij ka hukm daryaft kiya is par yeh aayat najil huyi aur ifrato ki raahe chhod kar etidal ki taleem farmai gayi aur bata diya gaya ki halate haij me aurato se muja-mat mamnooh hai.

Haij kise kahte hai ?

balig aurat ke aage ke makam se jo khoon adat ke taur par nikalta hai aur beemari ya bachha paida hone ke sabab se na ho to use haij kahte hai. haij ke liye mahvari, ayyam, ayyam se hona, maheena, maheena aana, maheene se hona, bari ke din aur monthly course wagira alfaj bhi bole jate hai.

Istihaja kise kahte hai ?

jo khoon beemari ki vajah se aaye, use istihaja kahte hai, ummul mu-amineen hazrate sayyiduna umme salmah se rivayat hai ki rasoole akran huzoor nabi e rehmat ke ahade mubarak me aik aurat ke agle makam se khoon bahta rahta tha, uske liye Ummul Mu-amineen hazrate sayyiduna umme Sa-lamah ne huzoore Akram se fatwa poocha, irshad farmaya, is beemari se pehle maheene me jitne din aur rat haij aata tha,

unki ginti shumar kar ke maheene me unhi ki mikdar namaj chhod de aur jab woh din jate rahe to gusl kare aur sharmgah par kapda bandh kar namaj padhe.

Haij ke kitne Rang Hote hai ?

Haij ke 6 rang hai.

  1. siyah
  2. Surkh
  3. Sabj
  4. Jard
  5. Gadla
  6. Matiyala, safed rang ki ratubaj hai nhi.

yad rahe ki aurat ke agle makam se jo khalis ratubat be- aajejishe khoon nikalti hai usse vudu nhi tutata agar kapde me lag jaye to kapda paak hai. aur hamal wali aurat ko jo khoon aaya voh istihaja hai.

Haij ki Hikmat

Balig aurat ke badan me fit-ratan jarurat se kuchh jiyada khoon paida hota hai ki hamal ki halat me voh khoon bachhe ki gija me kaam aaye aur bachhe ke doodh peene ke jamane me vohi khoon doodh ho jaye agar esa na ho to hamal aur doodh pilane ke jamane me iski jaban par ban jaye yehi vajah hai ki hamla aur ibtidaye sheer khwaragi me khoon nhi aata aur jis jamane me na hamal ho or na doodh pilana tab voh khoon agar badan se na nikale to kism kism ki beemari ho jaye.

Haij ki Muddat

Haij ki kam se kam muddat teen din or teen raate yani ki puri 72 ghante hai agar ek minute bhi kam hua to voh haij nhi balki istihaja hai yani beemari ka khoon hai aur jiyada se jiyada muddat 10 din aur 10 raate yani 240 ghante hai.

Kaise Maloom ho ki Istihaja hai ya Haij

Agar 10 din aur 10 raat se jiyada khoon aaya to agar yeh haij pehli martaba aaya hai to 10 din tak haij mana jayega aur iske baad jo khoon aaya voh istihaja hai aur agar pehle aurat ko haij aa chuke hai aur iski aadat 10 din se kam thi to adat se jitne jiyada khoon aaya voh istihaja hai,

misal ke taur par kisi aurat ko har maheene me panch din haij aane ki aadat thi ab ki martaba 10 din aaya to yeh 10 din hai ke mane jayenge albatta agar 12 din khoon aaya to adat wale panch din haij ke mane jayenge aur sat din istihaje ke aur agar ek aadat mukarrar na thi balki maheene char din to kisi maheene 7 din haij aata tha to pichhali martaba jitne din haij ke the wohi ab bhi haij ke din mane jayenge aur baki istihaje ka khoon hoga.

Haij ki kam aj kam Aur Intihai Umr

kam se kam 9 baras ki umr se haij shuru hoga or haij aane ki intihai umr pachpan sal hai is umr wali ko Ayesa kahte hai nav baras ki umr se pehle jo khoon aayega wo haij nahi balki istihaja hai yu hi 55 baras ki umr ke bad jo aayega wo bhi istihaja hai lekin ese hi rang ka aaya jaisa ki haij ke jamane me aaya karta tha to us ko haij man liya jayega.

2 Haij ke darmiyan kam aj kam fasila

2 haijo ke darmiyan kam se kam pure 15 din ka fasila jaruri hai, islami bahin ko chahiye ki voh haij aane ki muddat achhi tarah yaad rakhe ya likh le taki sharee-ate mu-tahara par ahsan tarike se amal ho sake, muddate haij yad na rakhne ki surat me bahut si pecheedagiya ho jati hai.

Aham Mas-ala

Yeh jaruri nhi ki muddat me har wakt khoon jari rahe jab hi haij ho balki agar baj-baj wakt bhi aaye, tab bhi haij hai.

Post Comment