Musafir ki Namaj Ka Tarika
shuru me musafir wo hai, jo teen din ki raah tak jane ke irade se basti se bahar hua. din se murad saal ka sabse chhota din hai aur teen din ki raah se ye matlab nhi ki subah se sham tak chale jabke din ka aksar hissa murad hai, maslan shuru subah sadik se do-pahar dhalne tak chala fir thahar gaya fir ghar gayafir dusre din aur teesare din yu hi kiya to itni door tak ki rah ko musafate safar kahenge.
2 pehar ke baad tak chalne me bhi barabar chalna murad nhi balke duaye jitna aaram lena chahiye itna darmiyan me thaharta bhi jaye aur chalane se murad darmiyani chal hai na tej na suasat, khushaki me aadami aur oont ki darmiyani chal ka etbar hai aur pahadi raste me usi hisab se ji is ke liye munasib ho aur dariya me kushti ki chal is wakt ki jab ke hona bilkul ruki ho na tej ho.
kos ka etbar nhi ke kos kahi chhode hote hai kahi balke etbar teen manjilo ka hai aur khushki mai meel ke hisab se iski mikdar 57 meel teen firlang hai.
Kasar ki Masafat
teen din ki rah ko tej suwari par 2 din ya kam te kare to musafir hai aur teen din se kam ke raste ko jiyada dino me te kiya to musafir nhi. khushki ke saf raste me sade sattawan meel ki raah rail ya motar wagaira se aik ghante me te ho jati hai to us rail ya motar wagaira ka suwar aik hi ghante ke safar me sharai musafir ho jayega aur kasar wagaira safar ke ahkam us par jari honge.
khali safar ki niyat se musafir na hoga balke musafir ka huqm is wakt se hai ke basti ki aabadi se bahar ho jaye yani shahar me ho to shahar se bahar ho jaye, gao me ho to gao se bahar ho jaye aur shahar wale ke liye ye bhi jaruri hai ke shahar ke aap paas jo aabadi shahar se mili hai usse bhi bahar ho jaye.
Isteshan jaha aabadi se bahar ho to station par pahunchne se musafir ho jayega jab ke masafat safar tak jane ka irada ho, safar ke liye ye bhi jaruri hai ke jaha se chala waha se teen din ki raah ka irada ho, aur agar 2 din ki rah ke irade se inkar aur waha pahunch kar dusri jagah ka irada kar liya aur ye bhi 3 din se kam ka rasta hai.
to is tarah musafir na hoga chahe esa sari duniya ghoom aaye musafir na hoga, jab tak aik jagah se pure 3 din ki rah ka irada na kare. safar ke liye ye bhi shart hai teen din ka irada mutasil safar ka ho lihaja agar yu irada kiya ke maslan 2 din ki rah par pahunch kar kuchh kam karna hai wo karke fir aik din ki rah jaounga to ye teen din ki raah ka mutasil irada na ho to musafir na hua.
Musafir Ke Ahkam
Musafir par vajib hai ke namaj me kasar kare yani char rakat wale farj ko 2 padhe uske hak me 2 hi rakate puri namaj hai, magrib aur fajar me kasar nhi balke puri padhi jaye, sirf johar, asar, isha ke farj me kasar hai. agar musafir kasar na kare to gunhagar hoga.
Sunnato ki Kasar Nahi
Sunnato me kasar nhi balki puri padhi jayegi albatta khof aur rawa rawe ki halat me 2 sunnate chhod sakta hai, muaf hai lekin sunnat ki kasar nhi kar sakta, musafir ne bajaye kasar char rakat padhi to agar 2 rakat par kayeda kiya to namaj ho gayi aur agar 2 rakat par kayeda na kiya to namaj batil hai.
Musafir is wakt tak musafir hai jab tak apni basti me pahunch na jaye ya kisi aabadi me pure 15 din thahar ne ki niyat na karle ye is wakt hai jab teen din ki rah chal chuka ho aur agar teen manjil pahunchane se paishtar wapisi ka irada kar liya to musafir na rahega agar chejangal me ho.
Niyate Ikamat ki Sharte
Niyat Ikamat sahi hone ke liye 6 sharte hai yani jab 6 bate hongi tab mukeem honga warna nhi.
- Chalna tark kare agar chalne ki halat me ikamat ki niyat ki to mukeem nhi.
- jaha thahre wo jagah thaharne ke layak ho jangal ya dariya ya wagaira aabad tapoo me ikamat ki niyat ki mukeem na hua.
- 15 din thaharne ki niyat ho usse kam thaharne ki niyat mukeem na hoga.
- ye niyat aik hi jagah thahane ki ho agar 2 moju me 15 din thaharne ka irada ho maslan aik me 10 din dusare din me panch din thaharne ka irada ho to mukeem na hoga.
- apna irada mustakil rakhta ho kisi ka tabeeh na ho.
- iski hajat iske irade ke munafi ho.
Musafir Aur Mukeem kab Aik dusre ki IKtida kar sakte hai
Mukeem musafir ki IKtida kar sakta hai aur imam ke salam ferne ke bad apni baki 2 rakate padhle aur in rakato me kirat bilkul na kare balke itni der chub khada rahe jitni der me surah fatiha padhi jati hai, agar musafir imam ho to isko chahiye ke namaj shuru karne se pehle kah de ki mai musafir hoon aur mai bhi salam ferate hi ye kah de ke tum log apni namaje puri karlo, mai musafir hoon.
Musafir ne mukeem ki iktida ki to is musafir muktadi par bhi kayeda vajib ho gaya farj na raha to agar imam ne kayeda na kiya to namaj fasid na huyi aur mukeem ne musafir ki iktida ki to is mukeem muktadi par bhi kayeda oola farj ho gaya. musafir jab apne vatane asali me pahunch gaya to safar khatam ho gaya agar che ikamat ki niyat na ki ho.
Kin Ujaro se suwari par Namaj ho sakti hai .. ?
suwari par jin ujaro se un sab majkura bila namajo ka padhta jaij ho jata hai wo ujr ye hai.
- pani baras raha hai.
- itna keechad hai ke utar kar padega to muh dhas jayega ya keechad me fir jayega ya jo kapda bhijayega wo bilkul luthad jayega aur is surat me agar suwari na ho to khade khade ishare padhe.
- sathi chale jayega.
- ya suwari ka janwar shareer hai suwar hone me dushwari hogi madadgar ki jarurat hogi aur madadgar mojood nhi.
- marj me jiyadati hogi.
- jaan
- maal ya aurat ko aabaru ka dhar ho.
Chalati Gadi par Namaj Ka Huqm
chalati rail par bhi farj aur vajib aur fajar ki sunnat nhi ho sakti, is liye jab station par ghadi thahre us wakt ye namaje padhe aur agar dekhe ke wakt jata hai to jis tarah bhi mumkin ho padh le fir jab moka mile to i-ada kare, chalati rail ko chalati kashti aur jahaj ke huqm ke hukm me tasawwur karna galati hai.
dosto ye post mene kanoone shariyat me se dekh kar likha hai agar aapko koi galati lage to mujhe email karke jarur bataiyega.
Post Comment