Tayammum kya hai hindi me

dosto aaj ke is post me ham janenege ki aakhir ye tayammum hota hai or isko kaise karte hai or ye kya hai iske bar me aaaj ham tafseel se baat karne ja rahe hai to chaliye start karte hai aapko bata de ki ham already vudu or gusul ke bare post likh chuke hai agar aapko wo padhna hai to aap usko bhi hamari play list me jakar check kar sakte hai or uske baare e details me padh sakte hai.
Tayammum kya hai
sabse yahi jaan lete hai ki uaakhir ye tayammum hota kya hai asal me aapko bata diya jaye ki ye tab kya jata hai jab aap kahi safar ho ya urgent aapko vudu ya gusul ki hazat hai tab aap isko kar skte ho, jaise ki aap subah uthe or namaz ke liye wakt bahut kam hai or ab aap dono conditions add kar lijiye ki aapko gusul ki bhi hazat hai or aapko fazar ki namaz bhi pdhni hai to ab wakt nhi hai,
or agar aap gusul karne bhi jaoge ya vudu bhi karoge to fazar ki namaz ka wakt nikal jayega to ab aapko na gusul karne ke liye jaan hai or na hi vudu ke liye jana hai aba aapko seedhe hi tayammum kar lena hai ab isse aapka vudu or gusul dono hi mana jayega, ab kin kin conditions me aap isko kar sakte ho to chaliye jante hai…
- safar ke dauran mazburi me kar sakte hai.
- fazar ki namaz ya kisi bhi namaz ka wakt agar nikal jayega tab aapko chahiye ki aap seedhe ki tayammum karle or seedhe farz farz padh le taki namaz kaza na nhi hogi.
- aapne raat me kiyam kiya masjid me ab subah uthe to aap par gusul farz ho gaya to ab aap wahi tayyum karenge uske baad hi aap waha se uth kar bahar aayenge.
Tayammum kaise karte hai or iske kitne farz hote hai
dosto ab yahi jaante hai ki Tayammum kaise karte hai or iske kitne farz hote hai to chaliye aapko batate hai dosto aapke bata de ki Tayammum me 3 farz hi hote hai or wo ye,,
- Niyat karna .
- Poore chehre ka masah karna
- Dono hathon ka masah karna
Niyat karna
niyat kya hai or isko kaise karte hai chaliye jante hai dosto niyat asal me dil ke pakkke irade ko kaha jata hai ab dil mai niyat karne ke main paak hone ke liye tayammum kar raha hoon.
Poore chehre ka masah karna
dosto poore chehre ka masah karne se murad kya hai kaise karte hai isko aap is tarike se kariye ki apne dono hathon ko mitti par maar kar poore chehre par pherna hai is tarike se aap apne chehre ka masah aasani se kar sakte ho.
Dono haathon ka masah karna
hatho ka masah kaise kare iska jawab ye hai ki aap hathon ko mitti par mar kar dono hathon (kunniyo tak) ka masah kare bas yahi hota hai hathon ka masah.
is tarike se aapka Tayammum mukammal hua or ye aapke liye gusul bhi ho gaya or vudu bhi ho gaya or ab aap namaz bhi ada kar sakte ho.
Tayammum kab karna Jaiz hai
dosto ab jante hai ki ye kab karna jaiz hai.
- pani mojud na ho ya milne ki ummeed na ho.
- pani milne par jan ka khatra ho yani ki bimar hone ka ya dushman ke dar se ho)
- pani istemal na kar sakta ho yani ki bimari ho ya fir chot ki wajah se ho.
- pani itna kam ho ke sirf peene ke liye bacha ho.
ye kuch esi conditions thi jaha par aapko tayammum karna hi chahiye.
Tayammum kin cheejo se kiya ja sakta hai
dosto aapko bata de ki tayammum sirf or sirf paak or saf mitti se ya mitti wali cheejo se hi kiya ja sakta hai ab jaise ki.
Rait.
Mitti
Pathar
Eet
Khadak
ye kuchh esi cheeje hai jisne aap tayammum kar sakte ho.
Tayammum kab Toot jata hai
chaliye ab ye jan lete hai ki wo konsi cheeje hai jinse tayammum toot jata hai.
- jo wudu torne wali cheezen hai wo tayammum bhi tod deti hain.
- or agar paani hi mil jaye to tayammum khatam ho jata hai.
- or agar bimari ya dar ka sabab khatam ho jaye to phir wudu ya gusul karna zaroori ho jata hai yani ki ab aapka tayammum nhi raha.
dosto agar aapko is post me koi bhi galati lage to mujhe email ke jariye se jarur bataiye taki mai apni islah kar saku. thank you
Post Comment